Saturday, May 30, 2009

Khayal

Kuch yaadain har ghadi har lamha chubhati si besharm jaati hi nanhi,wo khwabo khayal jiname aag lagai thi usne paani si cheez hai kuch par bujhati hi nanhi...Is chalate phirate jism ke andar khwahisho ka jala ek raakh ka dher dekha hai maine,phir se wo qaatil si hawanye chali hain yaaro usi dher se phir thoda sa dhuan utha hai,door se aayi un hawaon ko dhool udaate dekha hai maine,wo aag jo koi bujha chuka tha phir sulagaate dekha hai maine..........

Isi shahar ke kone main ek toota foota sa ghar dekha hai maine,waqt ki aandhinyo ne ujaada tha usko shayad,kabhi kuch bekadar logo ka basera raha hoga,kuch aaho ki goonz yanha ab bhi aati hai,dar o deeware apni kahani khud kah jaati hain,usi raah pe kabhi kabhi kisi ko chehara chupate dekha hai maine,us ghar ko chhooke rote hue koi aate jaate dekha hai maine.........

ek shor suna hai kuch kisso ka qatl hua hai,suna hai sarahad paar se kuch maute aayi thi.,kuch hawanye aur unke saath udakar aaye kuch parinde bhi sarahad paar ke hi the.Wo toot foot ke girte makaano ka manzar,wo chithade chithade marte jawano ka manzar,wo dekhte hain aur sochate hain kya hum bhi qaatil hain?in pankchhee aur hawanyo ko aman ka gaana gaate dekha hai maine,aur sarahad pe kuch insaano ko laash uthate dekha hai main........